10 Best Allama Iqbal Poems in Urdu For Kids and Students

10 Best Allama Iqbal Poems in Urdu For Kids and Students

10 Best Allama Iqbal Poems in Urdu For Kids and Students

top 10 allama iqbal famous poetry in urdu

Read best collection of Allama Iqbal Poems which is selected from Iqbal Poetry Books. Bache ki dua, Hamdardi, Sare jahan se acha ye hindostan hamara, Tere ishaq ki inteha chahta hon, Nigahe fakar mein shane sikandri kia ha, Sitaron se aage jahan aur bhi hain, Aik Makra Aur Makhi, Maan Ka Khawab, Asrar-e-Paida, Aik Pahar Aur Gulehri

Hamdardi (Makhooz Az William Cowper) Bachon Ke Liye

Tehni Pe Kisi Shajar Ki Tanha Bulbul Tha Koi Udas Baitha

Kehta Tha Ke Raat Ser Pe Aayi Urne Chugne Mein Din Guzra

Pohenchun Kis Tarah Aashiyan Tak Her Cheez Pe Cha Gya Andhera

Sun Kar Bulbul Ki Aah-O-Zari Jugnu Koi Pas Hi Se Bola

Hazir Hun Madad Ko Jaan O Dil Se Keera Hun Agarche Mein Zara Sa

Kya Gham Hai Jo Raat Hai Andheri Main Rah Mein Roshani Karon Ga

Allah Ne Di Hai Mujh Ko Mishal Chamka Ke Mujhay Diya Banaya

Hain Log Wohi Jahan Mein Ache Aate Hain Jo Kaam Dusron Ke

………………

Sitaron se aage jahan aur bhi hain

Sitaron se aage jahan aur bhi hain abhi ishq ke imtihan aur bhi hain

tahi zindagi se nahin ye fazaen yahan saikDon karwan aur bhi hain

qanaat na kar aalam-e-rang-o-bu par chaman aur bhi aashiyan aur bhi hain

agar kho gaya ek nasheman to kya gham maqamat-e-ah-o-fughan aur bhi hain

tu shahin hai parwaz hai kaam tera tere samne aasman aur bhi hain

isi roz o shab mein ulajh kar na rah ja ki tere zaman o makan aur bhi hain

gae din ki tanha tha main an

………………

Lab pe aati hai dua ban ke tamanna meri

Lab pe aati hai dua ban ke tamanna meri zindagi shama ki surat ho KHudaya meri!

dur duniya ka mere dam se andhera ho jae! har jagah mere chamakne se ujala ho jae!

ho mere dam se yunhi mere watan ki zinat jis tarah phul se hoti hai chaman ki zinat

zindagi ho meri parwane ki surat ya-rab ilm ki shama se ho mujh ko mohabbat ya-rab

ho mera kaam gharibon ki himayat karna dard-mandon se zaifon se mohabbat karna

mere allah! burai se bachana mujh ko nek jo rah ho us rah pe chalana mujh ko

lab pe aati hai dua ban ke tamanna meri zindagi shama ki surat ho KHudaya meri!

………………

Tere ishq ki intiha chahta hun

Tere ishq ki intiha chahta hun meri sadgi dekh kya chahta hun

sitam ho ki ho wada-e-be-hijabi koi baat sabr-azma chahta hun

ye jannat mubarak rahe zahidon ko ki main aap ka samna chahta hun

zara sa to dil hun magar shoKH itna wahi lan-tarani suna chahta hun

koi dam ka mehman hun ai ahl-e-mahfil charagh-e-sahar hun bujha chahta hun

bhari bazm mein raaz ki baat kah di baDa be-adab hun saza chahta hun

………………

Tarana-e-Hindi

Sare jahan se achchha hindostan hamara hum bulbulen hain is ki ye gulsitan hamara

ghurbat mein hon agar hum rahta hai dil watan mein samjho wahin hamein bhi dil ho jahan hamara

parbat wo sab se uncha ham-saya aasman ka wo santari hamara wo pasban hamara

godi mein khelti hain is ki hazaron nadiyan gulshan hai jin ke dam se rashk-e-jinan hamara

ai aab-rud-e-ganga wo din hai yaad tujh ko utra tere kinare jab karwan hamara

mazhab nahin sikhata aapas mein bair rakhna hindi hain hum watan hai hindostan hamara

yunan o misr o ruma sab miT gae jahan se ab tak magar hai baqi nam-o-nishan hamara

kuchh baat hai ki hasti miTti nahin hamari sadiyon raha hai dushman daur-e-zaman hamara

‘iqbaal’ koi mahram apna nahin jahan mein malum kya kisi ko dard-e-nihan hamara.

………………

Nigah-e-Faqr Mein Shan-e-Sikandari Kya Hai

Nigah-e-Faqr Mein Shan-e-Sikandari Kya Hai Kharaj Ki Jo Gada Ho, Woh Qaisri Kya Hai!

Buton Se Tujh Ko Umeedain, Khuda Se Naumeedi Mujhe Bata To Sahi Aur Kafiri Kya Hai.

Falak Ne Un Ko Atta Ki Hai Khawajgi Ke Jinhain Khabar Nahin Rawish-e-Banda Parwari Kya Hai

Faqt Nigah Se Hota Hai Faisla Dil Ka Na Ho Nigah Mein Shaukhi To Dilbari Kya Hai

Issi Khata Se Itaab-e-Mulook Hai Mujh Par Ke Janta Hun Maal-e-Sikandari Kya Hai.

Kise Nahin Hai Tamana-e-Sarwari, Lekin Khudi Ki Mout Ho Jis Mein Woh Sarwari Kya Hai!

Khush Aa Gyi Hai Jahan Ko Qalandari Meri Wagarna Shair Mera Kya Hai, Shayari Kya Hai!

………………

Aik Makra Aur Makhi (Makhooz) – Bachon Ke Liye

Ek Din Kisi Makhi Se Ye Kehne Laga Makra Iss Rah Se Hota Hai Guzar Roz Tumhara

Lekin Meri Kutiya Ki Na Jagi Kabhi Kismat Bhoole Se Kabhi Tum Ne Yahan Paun Na Rakha

Ghairon Se Na Miliye To Koi Baat Nahin Hai Apno Se Magar Chahiye Yun Khinch Ke Na Rehna

Aao Jo Mere Ghar Mein To Izzat Hai Ye Meri Woh Samne Seerhi Hai Jo Manzoor Ho Ana

Makhi Ne Suni Baat Jo Makre Ki To Boli Hazrat! Kisi Nadan Ko Dijiye Ga Ye Dhoka

Iss Jaal Mein Makhi Kabhi Aane Ki Nahin Hai Jo Aap Ki Seerhi Pe Charha, Phir Nahin Utra

Makre Ne Kaha Wah! Farebi Mujhay Samjhe Tum Sa Koi Nadan Zamane Mein Na Ho Ga

Manzoor Tumhari Mujhe Khatir Thi Wagarna Kuch Faida Apna To Mera Iss Mein Nahin Tha

Urti Huwi Ayi Ho Khuda Jane Kahan Se Thehro Jo Mere Ghar Mein To Hai Iss Mein Bura Kya!

Iss Ghar Mein Khai Tum Ko Dikhane Ki Hain Cheezain Bahir Se Nazar Ata Hai Chotti Si Ye Kutiya

Latke Huay Darwazon Pe Bareek Hain Parde Diwaron Ko Aaeyno Se Hai Mein Ne Sajaya

Mehmanon Ke Aaram Ko Hazir Hain Bichone Her Shaks Ko Saman Ye Mayaser Nahin Hota

Makhi Ne Kaha Khair, Ye Sub Theek Hai Lekin Mein Aap Ke Ghar Aaun, Ye Umeed Na Rakhna

In Naram Bichonon Se Khuda Mujh Ko Bachaye So Jaye Koi In Pe To Phir Uth Nahin Sakta

Makre Ne Kaha Dil Mein, Suni Baat Jo Uss Ki Phansun Issay Kis Tarha Ye Kambakhat Hai Dana

So Kaam Khushamad Se Nikalte Hain Jahan Mein Dekho Jise Duniya Mein Khushamad Ka Hai Banda

Ye Soch Ke Makhi Se Kaha Uss Ne Bari Bee ! Allah Ne Bakhsha Hai Bara Aap Ko Rutba

Hoti Hai Ussay Aap Ki Soorat Se Mohhabat Ho Jis Ne Kabi Aik Nazar Aap Ko Dekha

Aankhain Hain Ke Heeray Ki Chamakti Huwi Kaniyan Ser Aap Ka Allah Ne Kalgi Se Sajaya

Ye Husn, Ye Poshak, Ye Khubi, Ye Safai Phir Iss Pe Qayamat Hai Ye Urte Huay Gana

Makhi Ne Suni Jab Ye Khushamad To Pasiji Boli Ke Nahin Aap Se Mujh Ko Koi Khatka

Inkar Ki Aadat Ko Samajhti Hun Bura Mein Sach Ye Hai Ke Dil Torna Acha Nahin Hota

Ye Baat Kahi Aur Uri Apni Jagha Se Paas Ayi To Makre Ne Uchal Ker Ussay Pakra

Bhooka Tha Kai Roz Se, Ab Hath Jo Ayi Aaram Se Ghar Baith Ke Makhi Ko Uraya

Maan Ka Khawab (Makhooz – Bachon Ke Liye)

Mein Soyi Jo Ek Shab To Dekha Ye Khawab Barha Aur Jis Se Mera Iztarab

Ye Dekha Ke Mein Ja Rahi Hun Kahin Andhera Hai Aur Rah Milti Nahin

Larazta Tha Der Se Mera Baal Baal Qadam Ka Tha Dehshat Se Uthna Mahal

Jo Kuch Hosla Pa Ke Aagay Berhi To Dekha Qitar Aik Larkon Ki Thi

Zumurad Si Poshak Pehne Huay Diye Sub Ke Hathon Mein Jalte Huay

Woh Chup Chap Thay Agay Peche Rawan Khuda Jane Jana Tha Un Ko Kahan

Iss Soch Mein Thi Ke Mera Pisar Mujhe Uss Jamat Mein Aya Nazar

Woh Peche Tha Aur Taez Chalta Na Tha Diya Uss Ke Hathon Mein Jalta Na Tha

Kaha Mein Ne Pehchan Ker, Meri Jaan! Mujhe Chor Ker Aa Gye Tum Kahan?

Judai Mein Rehti Hun Main Be-Qarar Paroti Hun Her Rouz Ashkon Ke Haar

Na Perwa Humari Zara Tum Ne Ki Gye Chor, Achi Wafa Tum Ne Ki!

Jo Bache Ne Dekha Mera Peach O Taab Diya Uss Ne Munh Phair Ker Yun Jawab

Rulati Hai Tujh Ko Juddai Meri Nahin Uss Mein Kuch Bhi Bhalai Meri

Ye Keh Ker Vo Kuch Dair Tak Chup Raha Diya Phir Dikha Ker Ye Kehne Laga

Samajhti Hai Tu Ho Gaya Kya Issay? Tere Aanasuon Ne Bhujaya Issay!

Asrar-e-Paida

Uss Qoum Ko Shamsheer Ki Hajat Nahin Rehti Ho Jis Ke Jawanon Ki Khudi Soorat-e-Foulad

Na-Cheez Jahan-e-Meh-o-Parveen Tere Agay Woh Alam-e-Majboor Hai, Tu Alam-e-Azad

Moujon Ki Tapish Kya Hai, Faqt Zauq-e-Talab Hai Pinhan Jo Sadaf Mein Hai, Woh Doulat Hai Khudadad

Shaheen Kabhi Parwaz Se Thak Kar Nahin Girta Pur Dam Hai Agar Tu To Nahin Khatra-e-Uftad

Aik Pahar Aur Gulehri (Makhooz Az Emerson) – Bachon Ke Liye

Koi Pahar Ye Kehta Tha Ek Gulehri Se Tujhe Ho Sharam To Pani Mein Ja Ke Doob Maray

Zara Si Cheez Hai, Iss Pe Garoor, Kya Kehna Ye Aqal Aur Ye Samajh, Ye Shaur, Kya Kehna!

Khuda Ki Shan Hai Na-Cheez, Cheez Ban Baithen Jo Be-Shaur Hon, Yun Ba-Tameez Ban Baithen

Teri Bisat Hai Kya Meri Shan Ke Aagay Zameen Hai Passt Meri Aan Baan Ke Aagay

Jo Baat Mujh Mein Hai, Tujh Ko Vo Naseeb Kahan Bhala Pahar Kahan, Janwar Gareeb Kahan!

Kaha Ye Sun Ke Gulehri Ne, Munh Sambhal Zara Ye Kachi Baatain Hain Dil Se Inhain Nikal Zara

Jo Mein Bari Nahin Teri Tarah To Kya Parwa Nahin Hai Tu Bhi To Aakhir Meri Tarah Chotta

Her Aik Cheez Se Paida Khuda Ki Qudrat Hai Koi Bara, Koi Chotta, Ye Uss Ki Hikmat Hai

Bara Jahan Mein Tujh Ko Bana Diya Uss Ne Mujhe Darakht Pe Charhna Sikha Diya Uss Ne

Qadam Uthane Ki Takat Nahin Zara Tujh Mein Niri Barai Hai, Khubi Hai Aur Kya Tujh Mein

Jo Tu Bara Hai To Mujh Sa Hunar Dikha Mujh Ko Ye Chaliya Hi Zara Tor Ker Dikha Mujh Ko

Nahin Hai Cheez Nakami Koi Zamane Mein Koi Bura Nahin Qudrat Ke Karkhane Mein

Read More: Allama Iqbal Poetry in Urdu with English Translation

Top Urdu Poetry

This post was last modified on November 20, 2024 7:22 pm